uski gahrai ka andaza nahin
us kī gahrā.ī kā andāza nahīñ
vo samundar hai koī dariyā nahīñ
nafratoñ kī khā.iyoñ ko pāTne
dil kisī kā toḌnā achchhā nahīñ
ye khulā ahbāb jab dushman hue
sāf-goī kā sila achchhā nahīñ
misl-e-gard-e-bād chakkar meñ rahā
maiñ kisī āvāz par Thahrā nahīñ
ik ghuTan zanjīr-e-pā bantī ga.ī
maiñ hisār-e-zāt se niklā nahīñ
phuul sī fitrat 'razā' dariyā sā dil
maiñ kisī kī raah kā kāñTā nahīñ
us ki gahrai ka andaza nahin
wo samundar hai koi dariya nahin
nafraton ki khaiyon ko paTne
dil kisi ka toDna achchha nahin
ye khula ahbab jab dushman hue
saf-goi ka sila achchha nahin
misl-e-gard-e-baad chakkar mein raha
main kisi aawaz par Thahra nahin
ek ghuTan zanjir-e-pa banti gai
main hisar-e-zat se nikla nahin
phul si fitrat 'raza' dariya sa dil
main kisi ki rah ka kanTa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.