uski gham-KHwari karo aur uski dildari karo
us kī ġham-ḳhvārī karo aur us kī dildārī karo
maslahat kahtī hai tum dushman se bhī yaarī karo
kam se kam insāf kā dāman na chhoḌo haath se
maiñ kahāñ kahtā huuñ tum merī taraf-dārī karo
umr bhar sahte raho baḳhshī huī sāñsoñ kā jabr
umr bhar duniyā meñ jiine kī adākārī karo
gir ga.ī dīvār-e-zindāñ kaT ga.iiñ sab beḌiyāñ
ab to ai ahl-e-junūñ elān-e-bedārī karo
munsifo ham ne añdhere ko añdherā kah diyā
ab hamāre qatl ke ahkām bhī jaarī karo
tark-e-mai-ḳhāna hai 'shā.ir' vaz.a-dārī ke ḳhilāf
jaam ḳhālī hai to piine kī adākārī karo
us ki gham-KHwari karo aur us ki dildari karo
maslahat kahti hai tum dushman se bhi yari karo
kam se kam insaf ka daman na chhoDo hath se
main kahan kahta hun tum meri taraf-dari karo
umr bhar sahte raho baKHshi hui sanson ka jabr
umr bhar duniya mein jine ki adakari karo
gir gai diwar-e-zindan kaT gain sab beDiyan
ab to ai ahl-e-junun elan-e-bedari karo
munsifo hum ne andhere ko andhera kah diya
ab hamare qatl ke ahkaam bhi jari karo
tark-e-mai-KHana hai 'shair' waza-dari ke KHilaf
jam KHali hai to pine ki adakari karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.