uski jaan nazr hui raat lahu ko mere
us kī jaañ nazr huī raat lahū ko mere
jis ne samjhā sharar-ījādī-e-ḳhū ko mere
baaġh meñ gul kā Thaharnā baḌā dushvār huā
us ne jab dekh liyā ā.ina-rū ko mere
ik shanāsā hī mirā dahr-e-ḳhurāfāt meñ hai
jo alag vaz' se bhartā hai subū ko mere
munhasir aap kī hī tab'-e-ravāñ par hai huzūr
ḳhauf-e-shamshīr nahīñ ḳhushk gulū ko mere
sar-basar tū hai mirā vāqif-e-ahvāl-o-junūñ
naqsh-e-pā tak nahīñ milte haiñ kisū ko mere
satvat-e-shān mirī aab kahāñ dekhtī hai
rang hī rang haiñ darkār vuzū ko mere
us ki jaan nazr hui raat lahu ko mere
jis ne samjha sharar-ijadi-e-KHu ko mere
bagh mein gul ka Thaharna baDa dushwar hua
us ne jab dekh liya aaina-ru ko mere
ek shanasa hi mera dahr-e-KHurafat mein hai
jo alag waz' se bharta hai subu ko mere
munhasir aap ki hi tab'-e-rawan par hai huzur
KHauf-e-shamshir nahin KHushk gulu ko mere
sar-basar tu hai mera waqif-e-ahwal-o-junun
naqsh-e-pa tak nahin milte hain kisu ko mere
satwat-e-shan meri aab kahan dekhti hai
rang hi rang hain darkar wuzu ko mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.