uski jaanib dekhte the aur sab KHamosh the
Interesting Fact
The first line of the third couplet refers to one of Indonesia's cities 'Samarinda' where the poet was resided then.
us kī jānib dekhte the aur sab ḳhāmosh the
us kī āñkheñ boltī thiiñ aur lab ḳhāmosh the
yuuñ to dil vaale the mahfil thī magar aalam thā ye
us kā jaadū thā jo hairat ke sabab ḳhāmosh the
chāñd ik nazdīk se dekhā thā jab samrān meñ
ham bhī kuchh kahte par apne chashm-o-lab ḳhāmosh the
ik sukūt-e-marg taarī thā chaman-zādoñ ke beach
mahv-e-ḳhvāb-e-ḳhush-dilī the misl-e-shab ḳhāmosh the
sab ke chehroñ par likhī thiiñ ḳhvāhisheñ 'sultān-rashk'
yuuñ to lab-basta the saare bā-adab ḳhāmosh the
us ki jaanib dekhte the aur sab KHamosh the
us ki aankhen bolti thin aur lab KHamosh the
yun to dil wale the mahfil thi magar aalam tha ye
us ka jadu tha jo hairat ke sabab KHamosh the
chand ek nazdik se dekha tha jab samran mein
hum bhi kuchh kahte par apne chashm-o-lab KHamosh the
ek sukut-e-marg tari tha chaman-zadon ke beach
mahw-e-KHwab-e-KHush-dili the misl-e-shab KHamosh the
sab ke chehron par likhi thin KHwahishen 'sultan-rashk'
yun to lab-basta the sare ba-adab KHamosh the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.