uski KHushbu ki chap sunte hi
us kī ḳhushbū kī chaap sunte hī
phuul khilne lage the bele meñ
us ne va.ada kiyā hai milne kā
mujh se ā.indagāñ ke mele meñ
aao DhūñDeñ kahāñ gayā sūraj
shaam ke surma.ī jhamele meñ
us se kahnā ki lauT aa.e vo
baat karnā magar akele meñ
us ke chhūte hī hosh kī naav
bah ga.ī ḳhushbuoñ ke rele meñ
us ki KHushbu ki chap sunte hi
phul khilne lage the bele mein
us ne wada kiya hai milne ka
mujh se aaindagan ke mele mein
aao DhunDen kahan gaya suraj
sham ke surmai jhamele mein
us se kahna ki lauT aae wo
baat karna magar akele mein
us ke chhute hi hosh ki naw
bah gai KHushbuon ke rele mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.