uski KHwahish thi ki dar chhoD dun dar chhoD diya
us kī ḳhvāhish thī ki dar chhoḌ duuñ dar chhoḌ diyā
lauT aaya maiñ bhī vāpas vo nagar chhoḌ diyā
phir asar kar na sakī un pe to koī bhī davā
terī in āñkhoñ ne jin jin pe asar chhoḌ diyā
kal uThā laayā thā maiñ ḳhud ko udaas āñgan se
maiñ ne aañsū kī rifāqat pe guzar chhoḌ diyā
koī rastā to yahāñ se kahīñ jaatā hī nahīñ
mere rahbar ye tū ne mujh ko kidhar chhoḌ diyā
ḳhāmushī bol uThī dekh ke tanhā mujh ko
tū ne kyā dil meñ utarne kā hunar chhoḌ diyā
us ki KHwahish thi ki dar chhoD dun dar chhoD diya
lauT aaya main bhi wapas wo nagar chhoD diya
phir asar kar na saki un pe to koi bhi dawa
teri in aankhon ne jin jin pe asar chhoD diya
kal uTha laya tha main KHud ko udas aangan se
main ne aansu ki rifaqat pe guzar chhoD diya
koi rasta to yahan se kahin jata hi nahin
mere rahbar ye tu ne mujh ko kidhar chhoD diya
KHamushi bol uThi dekh ke tanha mujh ko
tu ne kya dil mein utarne ka hunar chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.