uski qurbat hi agar ras na aati mujhko
us kī qurbat hī agar raas na aatī mujh ko
phir vo zid kartī kahīñ haath lagātī mujh ko
achchhā chhoḌo mujhe kuchh yaad na thā us ke sivā
us ko sab yaad thā vo yaad dilātī mujh ko
vo to maiñ huuñ ki mujhe rone kī 'ādat kam hai
varna duniyā to abhī aur rulātī mujh ko
merī chāhat meñ kahīñ kuchh to kamī thī varna
itnī āsānī se vo kaise bhulātī mujh ko
us ko maiñ bhī agar āsānī se ho jaatā nasīb
phir jahāñ jaatī vahīñ ḳhuub luTātī mujh ko
us ki qurbat hi agar ras na aati mujh ko
phir wo zid karti kahin hath lagati mujh ko
achchha chhoDo mujhe kuchh yaad na tha us ke siwa
us ko sab yaad tha wo yaad dilati mujh ko
wo to main hun ki mujhe rone ki 'adat kam hai
warna duniya to abhi aur rulati mujh ko
meri chahat mein kahin kuchh to kami thi warna
itni aasani se wo kaise bhulati mujh ko
us ko main bhi agar aasani se ho jata nasib
phir jahan jati wahin KHub luTati mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.