uski taswir kya lagi hui hai
us kī tasvīr kyā lagī huī hai
puure kamre meñ raushnī huī hai
kuchh bhī tartīb meñ nahīñ thā yahāñ
us ke aane se behtarī huī hai
kaise kah duuñ maiñ hāl-e-dil us se
vo mire sāmne baḌī huī hai
jiit jaatī hai mujh se bātoñ meñ
baḌe schōl kī paḌhī huī hai
dost to vo bahut purānī thī
haañ mohabbat na.ī na.ī huī hai
us ke rone se mausamoñ meñ namī
us ke hañsne se dhuup sī huī hai
mere she'roñ meñ aur kuchh na sahī
us kī ḳhushbū rachī-basī huī hai
ab to hālāt kaafī behtar haiñ
varna pahle to shā'irī huī hai
aap mat DhūñDhiyegā kuchh is meñ
ye ġhazal us ke naam kī huī hai
us ki taswir kya lagi hui hai
pure kamre mein raushni hui hai
kuchh bhi tartib mein nahin tha yahan
us ke aane se behtari hui hai
kaise kah dun main haal-e-dil us se
wo mere samne baDi hui hai
jit jati hai mujh se baaton mein
baDe school ki paDhi hui hai
dost to wo bahut purani thi
han mohabbat nai nai hui hai
us ke rone se mausamon mein nami
us ke hansne se dhup si hui hai
mere she'ron mein aur kuchh na sahi
us ki KHushbu rachi-basi hui hai
ab to haalat kafi behtar hain
warna pahle to sha'iri hui hai
aap mat DhunDhiyega kuchh is mein
ye ghazal us ke nam ki hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.