uski yaadon ko kabhi dil se nikala na gaya
us kī yādoñ ko kabhī dil se nikālā na gayā
sabz Daalī thī jahāñ peḌ vo kaaTā na gayā
hijr meñ ham ne tire ḳhuub ġhazal likh Daalī
bevafā.ī kā ye ehsān bhulāyā na gayā
tere hone kā mujhe ab bhī bharam hotā hai
jism se duur kabhī jaise kī saayā na gayā
raat tanhā.ī meñ do log jage rahte hai
hijr vaale yā jinheñ hijr meñ Daalā na gayā
har ghaḌī soch meñ ik baat yahī rahtī hai
bevafā the yā mirā ishq sambhālā na gayā
dil ke sab dvaar tere baad lagā rakhe hai
tere kamre ko tire baad bigāḌā na gayā
us ki yaadon ko kabhi dil se nikala na gaya
sabz Dali thi jahan peD wo kaTa na gaya
hijr mein hum ne tere KHub ghazal likh Dali
bewafai ka ye ehsan bhulaya na gaya
tere hone ka mujhe ab bhi bharam hota hai
jism se dur kabhi jaise ki saya na gaya
raat tanhai mein do log jage rahte hai
hijr wale ya jinhen hijr mein Dala na gaya
har ghaDi soch mein ek baat yahi rahti hai
bewafa the ya mera ishq sambhaala na gaya
dil ke sab dwar tere baad laga rakhe hai
tere kamre ko tere baad bigaDa na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.