uski zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha
uski zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
us kī zulfeñ jis ne chheḌīñ vo sabā thī maiñ na thā
merā kyā maqdūr ye us kī ḳhatā thī maiñ na thā
mujh se bole kal nashe meñ ḳhuub huñkāreñ haiñ aap
ye na samjhe aur hī vo be-hayā thī maiñ na thā
merā kyā maqdūr jo maiñ dar tak aatā aap ke
vo raqīboñ kī ajī āvāz-e-pā thī maiñ na thā
pūchhā jab mansūr se tum ne anal-haq kyuuñ kahā
ye kahā us ne ki vo shān-e-ḳhudā thī maiñ na thā
maiñ ne kyā ifshā kiyā raaz un kā soch ai ham-nashīñ
bā.is-e-ifshā-e-rāz un kī hayā thī maiñ na thā
'aish' sab adnā se a.alā tak vahāñ hāzir the kal
bazm meñ ek us kī ḳhālī merī jā thī maiñ na thā
us ki zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha
mera kya maqdur ye us ki KHata thi main na tha
mujh se bole kal nashe mein KHub hunkaren hain aap
ye na samjhe aur hi wo be-haya thi main na tha
mera kya maqdur jo main dar tak aata aap ke
wo raqibon ki aji aawaz-e-pa thi main na tha
puchha jab mansur se tum ne anal-haq kyun kaha
ye kaha us ne ki wo shan-e-KHuda thi main na tha
main ne kya ifsha kiya raaz un ka soch ai ham-nashin
bais-e-ifsha-e-raaz un ki haya thi main na tha
'aish' sab adna se aala tak wahan hazir the kal
bazm mein ek us ki KHali meri ja thi main na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.