uski zulfon ki har ek sham guzare hue hain
us kī zulfoñ kī har ik shaam guzāre hue haiñ
tab kahīñ jā ke falak tere sitāre hue haiñ
shab-e-tārīk meñ raushan rahī jo misl-e-sahar
ham usī zulf-e-siyah-rang ke maare hue haiñ
dasht ḳhālī hai koī aks na koī saaya
kis kī āvāz ke ham log pukāre hue haiñ
sar kahāñ hai ki jo patthar se ghisā karte haiñ
dil kahāñ hai jise sahrā meñ utāre hue haiñ
ham se pahle bhī bahut dard bahā hai tujh meñ
ham se pahle bhī bahut log kināre hue haiñ
baad muddat ke samundar ne pukārā hai mujhe
baad muddat ke havāoñ ke ishāre hue haiñ
ik qadam aur un āvāz ke zīnoñ kī qasam
ik qadam aur ki bas apne se haare hue haiñ
karvaTeñ letā hai us shoḳh kā maujoñ meñ badan
jis kī parchhā.īñ se rangīn kināre hue haiñ
ab to zāhir ho tirā paikar-e-ḳhāmosh kahīñ
tirī aahaT ke sabhī rang ubhāre hue haiñ
aisā lagtā hai ki ye log kahīñ rahte haiñ
aisā lagtā hai ki ye log pukāre hue haiñ
us se kah do ki abhī chāñd bhī kumhlāyā nahīñ
us se kah do ki abhī shaam sañvāre hue haiñ
us se kah do ki chalā aa.e na ab der kare
āsmāñ apnī hathelī pe utāre hue haiñ
us ki zulfon ki har ek sham guzare hue hain
tab kahin ja ke falak tere sitare hue hain
shab-e-tarik mein raushan rahi jo misl-e-sahar
hum usi zulf-e-siyah-rang ke mare hue hain
dasht KHali hai koi aks na koi saya
kis ki aawaz ke hum log pukare hue hain
sar kahan hai ki jo patthar se ghisa karte hain
dil kahan hai jise sahra mein utare hue hain
hum se pahle bhi bahut dard baha hai tujh mein
hum se pahle bhi bahut log kinare hue hain
baad muddat ke samundar ne pukara hai mujhe
baad muddat ke hawaon ke ishaare hue hain
ek qadam aur un aawaz ke zinon ki qasam
ek qadam aur ki bas apne se haare hue hain
karwaTen leta hai us shoKH ka maujon mein badan
jis ki parchhain se rangin kinare hue hain
ab to zahir ho tera paikar-e-KHamosh kahin
teri aahaT ke sabhi rang ubhaare hue hain
aisa lagta hai ki ye log kahin rahte hain
aisa lagta hai ki ye log pukare hue hain
us se kah do ki abhi chand bhi kumhlaya nahin
us se kah do ki abhi sham sanware hue hain
us se kah do ki chala aae na ab der kare
aasman apni hatheli pe utare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.