usko chhune ko kai hath nikal kar aae
usko chhune ko kai hath nikal kar aae
Kaleem Noori Firozabadi
MORE BYKaleem Noori Firozabadi
us ko chhūne ko ka.ī haath nikal kar aa.e
chāñd se kis ne kahā thā ki vo chhat par aa.e
ho uThā phir se siyāsat meñ samundar manthan
zahr piine ke liye phir koī shankar aa.e
tum ne āñkheñ to khulī rakkhī haiñ apnī lekin
dil kā darvāza khule tab koī andar aa.e
maiñ to farhād nahīñ qais bhī rāñjhā bhī nahīñ
kyuuñ mirī samt har ik samt se patthar aa.e
ġham meñ Duubī huī ġhazloñ ke jo aañsū poñchhe
aisā koī to zamāne meñ suḳhanvar aa.e
maiñ vo dariyā huuñ jo ghar se kabhī niklā hī nahīñ
pyaas le kar merī chaukhaT pe samundar aa.e
us ko chhune ko kai hath nikal kar aae
chand se kis ne kaha tha ki wo chhat par aae
ho uTha phir se siyasat mein samundar manthan
zahr pine ke liye phir koi shankar aae
tum ne aankhen to khuli rakkhi hain apni lekin
dil ka darwaza khule tab koi andar aae
main to farhad nahin qais bhi ranjha bhi nahin
kyun meri samt har ek samt se patthar aae
gham mein Dubi hui ghazlon ke jo aansu ponchhe
aisa koi to zamane mein suKHanwar aae
main wo dariya hun jo ghar se kabhi nikla hi nahin
pyas le kar meri chaukhaT pe samundar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.