usko dekhun to kabhi main bhi ki wo kaisi hai
us ko dekhūñ to kabhī maiñ bhī ki vo kaisī hai
mere pīchhe jo 'sabā' ghar meñ mire rahtī hai
jalte sāñsoñ ke ghane dasht meñ jaarī hai safar
jaañ abhī qahr ke ḳhatroñ se kahāñ chhūTī hai
ab koī ḳhvāboñ kā jhūlā bhī lagā.e to kahāñ
shab ke peḌoñ kī har ik shāḳh-e-hasīñ TuuTī hai
us ke āñgan meñ khare niim kī chanchal chhāyā
shaam se hī mirī dahlīz pe aa baiThī hai
gum huī hai 'sabā' lohe ke puloñ ke nīche
gaañv kī shoḳh nadī shahr meñ jab pahuñchī hai
us ko dekhun to kabhi main bhi ki wo kaisi hai
mere pichhe jo 'saba' ghar mein mere rahti hai
jalte sanson ke ghane dasht mein jari hai safar
jaan abhi qahr ke KHatron se kahan chhuTi hai
ab koi KHwabon ka jhula bhi lagae to kahan
shab ke peDon ki har ek shaKH-e-hasin TuTi hai
us ke aangan mein khare nim ki chanchal chhaya
sham se hi meri dahliz pe aa baiThi hai
gum hui hai 'saba' lohe ke pulon ke niche
ganw ki shoKH nadi shahr mein jab pahunchi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.