usko ehsas ye hua to nahin
us ko ehsās ye huā to nahīñ
vo bashar hai koī ḳhudā to nahīñ
laakh tadbīreñ ham ne kiiñ lekin
likhā taqdīr kā miTā to nahīñ
Dūbte ko hai ek tinkā bahut
phir bhī mohkam ye aasrā to nahīñ
mutma.in kyoñ hai chārāgar apnā
dard kam hai magar miTā to nahīñ
iltifāt aur vo kareñ mujh par
dil ko dhoka koī huā to nahīñ
ḳhauf khā.ūñ maiñ kis liye tujh se
tū bhī insān hai ḳhudā to nahīñ
jo qadam bhī uThāo us pe 'salīm'
soch lo sochnā burā to nahīñ
us ko ehsas ye hua to nahin
wo bashar hai koi KHuda to nahin
lakh tadbiren hum ne kin lekin
likha taqdir ka miTa to nahin
Dubte ko hai ek tinka bahut
phir bhi mohkam ye aasra to nahin
mutmain kyon hai chaaragar apna
dard kam hai magar miTa to nahin
iltifat aur wo karen mujh par
dil ko dhoka koi hua to nahin
KHauf khaun main kis liye tujh se
tu bhi insan hai KHuda to nahin
jo qadam bhi uThao us pe 'salim'
soch lo sochna bura to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.