usko gar apna kaho fard qarabat jaano
us ko gar apnā kaho fard qarābat jaano
vo agar jhuuT bhī bole to sadāqat jaano
zindagī bhar to koī saath nibhāne se rahā
ek do pal kī mulāqāt ġhanīmat jaano
tum jo nikle ho mohabbat kī tijārat ke liye
is meñ nuqsān uThāoge haqīqat jaano
saañs lene kī ijāzat hai tumheñ shukr karo
aise māhaul meñ zinda ho ġhanīmat jaano
vaqt guzrā to kabhī lauT ke aa.egā nahīñ
vaqt kī qadr karo vaqt kī qīmat jaano
is zamāne meñ koī hañs ke agar baat kare
mo'jiza samjho ise koī karāmat jaano
us kī achhā.iyāñ āḳhir ko khulīñ nā tum par
ham na kahte the use 'nūr' burā mat jaano
us ko gar apna kaho fard qarabat jaano
wo agar jhuT bhi bole to sadaqat jaano
zindagi bhar to koi sath nibhane se raha
ek do pal ki mulaqat ghanimat jaano
tum jo nikle ho mohabbat ki tijarat ke liye
is mein nuqsan uThaoge haqiqat jaano
sans lene ki ijazat hai tumhein shukr karo
aise mahaul mein zinda ho ghanimat jaano
waqt guzra to kabhi lauT ke aaega nahin
waqt ki qadr karo waqt ki qimat jaano
is zamane mein koi hans ke agar baat kare
mo'jiza samjho ise koi karamat jaano
us ki achhaiyan aaKHir ko khulin na tum par
hum na kahte the use 'nur' bura mat jaano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.