usko har baat batane ki zarurat nahin hai
us ko har baat batāne kī zarūrat nahīñ hai
dar ko dīvār banāne kī zarūrat nahīñ hai
ab maiñ dariyā ke kināre pe pahuñch saktā huuñ
ab mirī naav bachāne kī zarūrat nahīñ hai
is ghane peḌ pe rahne kā irāda hī nahīñ
in parindoñ ko uḌāne kī zarūrat nahīñ hai
shukriya aap kī is banda-navāzī ko salām
ab kisī aur bahāne kī zarūrat nahīñ hai
shād-o-ābād makīnoñ se makāñ hote haiñ
ḳhālī kamroñ ko sajāne kī zarūrat nahīñ hai
dar-o-dīvār se hai merī shanāsā.ī bahut
ab kisī ko yahāñ aane kī zarūrat nahīñ hai
ye kafan mere liye parcham-e-āzādī hai
dosto rone rulāne kī zarūrat nahīñ hai
ek duniyā mire atrāf hai ābād 'zahūr'
ghar se bāhar mujhe jaane kī zarūrat nahīñ hai
us ko har baat batane ki zarurat nahin hai
dar ko diwar banane ki zarurat nahin hai
ab main dariya ke kinare pe pahunch sakta hun
ab meri naw bachane ki zarurat nahin hai
is ghane peD pe rahne ka irada hi nahin
in parindon ko uDane ki zarurat nahin hai
shukriya aap ki is banda-nawazi ko salam
ab kisi aur bahane ki zarurat nahin hai
shad-o-abaad makinon se makan hote hain
KHali kamron ko sajaane ki zarurat nahin hai
dar-o-diwar se hai meri shanasai bahut
ab kisi ko yahan aane ki zarurat nahin hai
ye kafan mere liye parcham-e-azadi hai
dosto rone rulane ki zarurat nahin hai
ek duniya mere atraf hai aabaad 'zahur'
ghar se bahar mujhe jaane ki zarurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.