usko hua hai pyar ka aazar kis tarah
us ko huā hai pyaar kā āzār kis tarah
nargis chaman meñ ho ga.ī bīmār kis tarah
dil par karam kare nigah-e-yār kis tarah
bīmār se ho pursish-e-bīmār kis tarah
āñkheñ haiñ kor jalva-e-jānāñ nazāra-soz
niklegī dil se hasrat-e-dīdār kis tarah
marnā thā sahl pās-e-vafā se na mar sakā
itnī sī baat ho ga.ī dushvār kis tarah
dil meñ bañdhā tasavvur-e-zulf-e-darāz-e-yār
zanjīr ho ga.ī hai giraftār kis tarah
ai āh-e-garm terī to shoḳhī nahīñ hai ye
kumhlā ga.e haiñ phuul se ruḳhsār kis tarah
itnā koī ḳhudā ke liye aa ke dekh le
dam toḌtā hai 'muztar'-e-bīmār kis tarah
us ko hua hai pyar ka aazar kis tarah
nargis chaman mein ho gai bimar kis tarah
dil par karam kare nigah-e-yar kis tarah
bimar se ho pursish-e-bimar kis tarah
aankhen hain kor jalwa-e-jaanan nazara-soz
niklegi dil se hasrat-e-didar kis tarah
marna tha sahl pas-e-wafa se na mar saka
itni si baat ho gai dushwar kis tarah
dil mein bandha tasawwur-e-zulf-e-daraaz-e-yar
zanjir ho gai hai giraftar kis tarah
ai aah-e-garm teri to shoKHi nahin hai ye
kumhla gae hain phul se ruKHsar kis tarah
itna koi KHuda ke liye aa ke dekh le
dam toDta hai 'muztar'-e-bimar kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.