usko jab dekh lun qarar aae
us ko jab dekh luuñ qarār aa.e
dil ke sahrā meñ bhī bahār aa.e
un kī qurbat meñ guzrā har lamha
ziist meñ merī baar baar aa.e
pyārī sūrat jo dekh le terī
kaise tujh par na us ko pyaar aa.e
vo hameñ muḌ ke dekhtā bhī nahīñ
ham dil-o-jān jis pe vaar aa.e
maiñ ne to gul kī ābyārī kī
mere hisse meñ sirf ḳhaar aa.e
va.ada karte ho bhuul jaate ho
kaise phir tum pe e.atibār aa.e
dhuup hai aur safar hai sahrā kā
ik shajar koī sāya-dār aa.e
maiñ pukārūñ jab us ko ai 'azkā'
sar ke bal chal ke merā yaar aa.e
us ko jab dekh lun qarar aae
dil ke sahra mein bhi bahaar aae
un ki qurbat mein guzra har lamha
zist mein meri bar bar aae
pyari surat jo dekh le teri
kaise tujh par na us ko pyar aae
wo hamein muD ke dekhta bhi nahin
hum dil-o-jaan jis pe war aae
main ne to gul ki aabyari ki
mere hisse mein sirf KHar aae
wada karte ho bhul jate ho
kaise phir tum pe eatibar aae
dhup hai aur safar hai sahra ka
ek shajar koi saya-dar aae
main pukarun jab us ko ai 'azka'
sar ke bal chal ke mera yar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.