usko jine ka hunar aata nahin
us ko jiine kā hunar aatā nahīñ
jis ke chehre pe koī chehra nahīñ
aadmī kaisā hai vo kaise kahūñ
justujū kī aañkh se dekhā nahīñ
daur-e-nau ne jaise kāñTe bo diye
phuul lahja ab kahīñ miltā nahīñ
har nazāre meñ chhupā baiThā hai vo
gar tajassus ho to phir parda nahīñ
chhīn lī haiñ vaqt ne yādeñ sabhī
yaad ab koī mujhe aatā nahīñ
ab ke mausam ne ye dī kaisī sazā
peḌ koī bhī samar vaalā nahīñ
ġham nahīñ is ke sivā 'rāhat' koī
aaj tak us ne mujhe samjhā nahīñ
us ko jine ka hunar aata nahin
jis ke chehre pe koi chehra nahin
aadmi kaisa hai wo kaise kahun
justuju ki aankh se dekha nahin
daur-e-nau ne jaise kanTe bo diye
phul lahja ab kahin milta nahin
har nazare mein chhupa baiTha hai wo
gar tajassus ho to phir parda nahin
chhin li hain waqt ne yaaden sabhi
yaad ab koi mujhe aata nahin
ab ke mausam ne ye di kaisi saza
peD koi bhi samar wala nahin
gham nahin is ke siwa 'rahat' koi
aaj tak us ne mujhe samjha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.