usko jis se KHun ka rishta na tha
us ko jis se ḳhuun kā rishta na thā
kaise ham kahte ki vo apnā na thā
tishna-lab the log dariyā ke qarīb
dasht meñ lekin koī pyāsā na thā
har-nafas ik karb hai dil meñ liye
aadmī itnā kabhī TuuTā na thā
dard kī ik bhiiḌ thī mere qarīb
zindagī meñ maiñ kabhī tanhā na thā
ret kī tahrīr thī merā vajūd
yaad rakhnā maiñ koī aisā na thā
us ko jis se KHun ka rishta na tha
kaise hum kahte ki wo apna na tha
tishna-lab the log dariya ke qarib
dasht mein lekin koi pyasa na tha
har-nafas ek karb hai dil mein liye
aadmi itna kabhi TuTa na tha
dard ki ek bhiD thi mere qarib
zindagi mein main kabhi tanha na tha
ret ki tahrir thi mera wajud
yaad rakhna main koi aisa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.