usko milegi dard ki daulat jahan se
us ko milegī dard kī daulat jahān se
guzre na koī merī tarah imtihān se
mere ḳhudā mujhe tū zamīñ par utaar de
ghabrā gayā hai dil mirā ūñchī uḌaan se
aisā na ho ki karb se dīvāreñ ro paḌeñ
zyāda na baat kījiye suune makān se
maiñ dūsroñ ke aks meñ Dhaltā chalā gayā
tasvīr boltī rahī merī zabān se
miltī haiñ kitnī roTiyāñ mehnat kī dhuup meñ
pūchhe koī ye khet meñ jā kar kisān se
ab tak haveliyoñ meñ mirā zikr-e-ḳhair hai
rishta juḌā huā hai abhī ḳhāndān se
guzregī raat kaise ki din to guzar gayā
paḌhtā huuñ roz shaam kā aḳhbār dhyān se
pardes meñ bhī des kī ḳhushbū nahīñ ga.ī
naatā hai merī ruuh kā hindostān se
manzil kī justujū meñ bhaTak jaao na kahīñ
'sarvat' charāġh le ke nikalnā makān se
us ko milegi dard ki daulat jahan se
guzre na koi meri tarah imtihan se
mere KHuda mujhe tu zamin par utar de
ghabra gaya hai dil mera unchi uDan se
aisa na ho ki karb se diwaren ro paDen
zyaada na baat kijiye sune makan se
main dusron ke aks mein Dhalta chala gaya
taswir bolti rahi meri zaban se
milti hain kitni roTiyan mehnat ki dhup mein
puchhe koi ye khet mein ja kar kisan se
ab tak haweliyon mein mera zikr-e-KHair hai
rishta juDa hua hai abhi KHandan se
guzregi raat kaise ki din to guzar gaya
paDhta hun roz sham ka aKHbar dhyan se
pardes mein bhi des ki KHushbu nahin gai
nata hai meri ruh ka hindostan se
manzil ki justuju mein bhaTak jao na kahin
'sarwat' charagh le ke nikalna makan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.