usko pana hi kuchh aisa hai ki paya to nahin
us ko paanā hī kuchh aisā hai ki paayā to nahīñ
yā hameñ kho.e hue haiñ kahīñ aisā to nahīñ
haal bīmār-e-mohabbat kā kuchh achchhā to nahīñ
tum sañbhalnā jise samjhe ho sañbhālā to nahīñ
apne girne kā to afsos nahīñ hai mujh ko
dekhnā ye hai kisī ne mujhe dekhā to nahīñ
ye ḳhatā koī ḳhatā hai zarā socho to sahī
ik nazar dekhā hai bas aap ko chāhā to nahīñ
aap kā vā'da-e-fardā bhī bajā hai lekin
chārasāzī kā ye dā'vā hai mudāvā to nahīñ
aap ke 'ishq meñ ham jaañ se guzar jā.eñge
qaul mardoñ kā hai ye aap kā vā'da to nahīñ
ek dil de ke tire dard kī daulat paa.ī
ham ne ulfat meñ kamāyā hai gañvāyā to nahīñ
kis liye tez huī jaatī hai dil kī dhaḌkan
aap ne dekhā hai mujh ko kahīñ aisā to nahīñ
haq ke dīdār kī muusā se haqīqat pūchho
us ne dekhā bhī to yuuñ dekhā ki dekhā to nahīñ
aap hī kahiye ki haiñ aap mire rū-ba-nazar
yā faqat merī nigāhoñ kā ye dhokā to nahīñ
'ishq aur mushk chhupā.e kahīñ chhupte haiñ 'amar'
laakh parda karo duniyā se ye pardā to nahīñ
us ko pana hi kuchh aisa hai ki paya to nahin
ya hamein khoe hue hain kahin aisa to nahin
haal bimar-e-mohabbat ka kuchh achchha to nahin
tum sanbhalna jise samjhe ho sanbhaala to nahin
apne girne ka to afsos nahin hai mujh ko
dekhna ye hai kisi ne mujhe dekha to nahin
ye KHata koi KHata hai zara socho to sahi
ek nazar dekha hai bas aap ko chaha to nahin
aap ka wa'da-e-farda bhi baja hai lekin
chaarasazi ka ye da'wa hai mudawa to nahin
aap ke 'ishq mein hum jaan se guzar jaenge
qaul mardon ka hai ye aap ka wa'da to nahin
ek dil de ke tere dard ki daulat pai
hum ne ulfat mein kamaya hai ganwaya to nahin
kis liye tez hui jati hai dil ki dhaDkan
aap ne dekha hai mujh ko kahin aisa to nahin
haq ke didar ki musa se haqiqat puchho
us ne dekha bhi to yun dekha ki dekha to nahin
aap hi kahiye ki hain aap mere ru-ba-nazar
ya faqat meri nigahon ka ye dhoka to nahin
'ishq aur mushk chhupae kahin chhupte hain 'amar'
lakh parda karo duniya se ye parda to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.