us ko sitamgarī meñ kisī dil se kyā ġharaz
qātil ko be-qarārī-e-bismil se kyā ġharaz
jis meñ na terī yaad ho us dil se kyā ġharaz
lailā na ho to qais ko mahmil se kyā ġharaz
mashq-e-sitamgarī na kare vo muhāl hai
us ko hamāre is dil-e-bismil se kyā ġharaz
majnūñ ke dekhne kā nahīñ ishtiyāq kuchh
lailā ko chāk-e-parda-e-mahmil se kyā ġharaz
tishna huuñ bahr-e-ulfat-e-abrū-e-yār kā
dariyā-e-āb-e-ḳhanjar-e-qātil se kyā ġharaz
kāTūñgā āftāb kī sūrat se tā-ba-shām
mujh garm-rau ko dūrī-e-manzil se kyā ġharaz
parvāna sham.a ke liye aatā hai bazm meñ
dil ko hamāre mardum-e-mahfil se kyā ġharaz
kahtā hai āsmān se dāġh-e-jigar mirā
ḳhud mehr huuñ mujhe mah-e-kāmil se kyā ġharaz
saudā kisī kī zulf-e-musalsal kā hai mujhe
haddād mujh ko tauq-o-salāsil se kyā ġharaz
aaya hai daam le ke asīrī ke vāste
sayyād ko hai shor-e-anādil se kyā ġharaz
fart-e-bukā se aañkh meñ aañsū thameñge kyā
dariyā-e-be-kanār ko sāhil se kyā ġharaz
josh-e-junūñ meñ ḳhud ko jo lailā qarār de
phir qais ko ho sāhib-e-mahmil se kyā ġharaz
detā huuñ maiñ use to vo kahte haiñ ta۔an se
auroñ kā ho gayā mujhe is dil se kyā ġharaz
dariyā-e-faiz-o-jūd-o-saḳhā jis kā band ho
phir us danī ko kashtī-e-sā.il se kyā ġharaz
shākī na huuñ ḳhudā se maiñ jab apne ḳhuun kā
mahshar meñ phir ho dāman-e-qātil se kyā ġharaz
dil jab butān-e-dahr ke ḳhālī hoñ dard se
sangīñ diloñ ko phir ho mire dil se kyā ġharaz
tīr-e-nazar se koī nishāna ho un ko kyā
ho be-qarār tā.ir-e-bismil se kyā ġharaz
jab aap hī na ho to ilāqa kisī se kyā
sar kaT gayā to ḳhanjar-e-qātil se kyā ġharaz
aa.eñ haiñ dekhne ko tamāshā vo raqs kā
mar jaa.e yā jiye unheñ bismil se kyā ġharaz
milte nahīñ agar to mire dil ko pher do
mujh se ġharaz nahīñ to mire dil se kyā ġharaz
'fāḳhir' karūñ savāl maiñ kyā sūrat-e-faqīr
dar tak na aa.e jo use saa.il se kyā ġharaz
us ko sitamgari mein kisi dil se kya gharaz
qatil ko be-qarari-e-bismil se kya gharaz
jis mein na teri yaad ho us dil se kya gharaz
laila na ho to qais ko mahmil se kya gharaz
mashq-e-sitamgari na kare wo muhaal hai
us ko hamare is dil-e-bismil se kya gharaz
majnun ke dekhne ka nahin ishtiyaq kuchh
laila ko chaak-e-parda-e-mahmil se kya gharaz
tishna hun bahr-e-ulfat-e-abru-e-yar ka
dariya-e-ab-e-KHanjar-e-qatil se kya gharaz
kaTunga aaftab ki surat se ta-ba-sham
mujh garm-rau ko duri-e-manzil se kya gharaz
parwana shama ke liye aata hai bazm mein
dil ko hamare mardum-e-mahfil se kya gharaz
kahta hai aasman se dagh-e-jigar mera
KHud mehr hun mujhe mah-e-kaamil se kya gharaz
sauda kisi ki zulf-e-musalsal ka hai mujhe
haddad mujh ko tauq-o-salasil se kya gharaz
aaya hai dam le ke asiri ke waste
sayyaad ko hai shor-e-anadil se kya gharaz
fart-e-buka se aankh mein aansu thamenge kya
dariya-e-be-kanar ko sahil se kya gharaz
josh-e-junun mein KHud ko jo laila qarar de
phir qais ko ho sahib-e-mahmil se kya gharaz
deta hun main use to wo kahte hain ta۔an se
auron ka ho gaya mujhe is dil se kya gharaz
dariya-e-faiz-o-jud-o-saKHa jis ka band ho
phir us dani ko kashti-e-sail se kya gharaz
shaki na hun KHuda se main jab apne KHun ka
mahshar mein phir ho daman-e-qatil se kya gharaz
dil jab butan-e-dahr ke KHali hon dard se
sangin dilon ko phir ho mere dil se kya gharaz
tir-e-nazar se koi nishana ho un ko kya
ho be-qarar tair-e-bismil se kya gharaz
jab aap hi na ho to ilaqa kisi se kya
sar kaT gaya to KHanjar-e-qatil se kya gharaz
aaen hain dekhne ko tamasha wo raqs ka
mar jae ya jiye unhen bismil se kya gharaz
milte nahin agar to mere dil ko pher do
mujh se gharaz nahin to mere dil se kya gharaz
'faKHir' karun sawal main kya surat-e-faqir
dar tak na aae jo use sail se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.