usko tanha jis ghaDi pate hain hum
us ko tanhā jis ghaḌī paate haiñ ham
muztarib ho kar palaT jaate haiñ ham
yaad kar ke tere lab ġhuncha-dahan
zindagī se tang aa jaate haiñ ham
be-sabab baiThe-biThā.e apnā dil
de ke us dilbar ko pachhtāte haiñ ham
manā karne par bhī dil ko de diyā
dil ke dene kī sazā paate haiñ ham
dekh kar ġhairoñ ko us ke ird-gird
ḳhud-baḳhud mahfil se Tal jaate haiñ ham
kahte haiñ maqtal meñ mujh se ho ke shaad
raqs-e-bismil aaj dikhlāte haiñ ham
'ḳhanjar'-e-abrū ko terī dekh kar
ai sitamgar qatl ho jaate haiñ ham
us ko tanha jis ghaDi pate hain hum
muztarib ho kar palaT jate hain hum
yaad kar ke tere lab ghuncha-dahan
zindagi se tang aa jate hain hum
be-sabab baiThe-biThae apna dil
de ke us dilbar ko pachhtate hain hum
mana karne par bhi dil ko de diya
dil ke dene ki saza pate hain hum
dekh kar ghairon ko us ke ird-gird
KHud-baKHud mahfil se Tal jate hain hum
kahte hain maqtal mein mujh se ho ke shad
raqs-e-bismil aaj dikhlate hain hum
'KHanjar'-e-abru ko teri dekh kar
ai sitamgar qatl ho jate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.