us kucha-e-dildar ka charcha bhi bahut hai
us kūcha-e-dildār kā charchā bhī bahut hai
luTne kā usī raah meñ ḳhatra bhī bahut hai
maanā ki safar meñ to kaḌī dhuup hai lekin
sar par mire maañ baap kā saayā bhī bahut hai
is daur-e-junūñ-ḳhez meñ har chiiz hai arzāñ
is daur ke bāzār meñ dhoka bhī bahut hai
tum zāhirī asbāb pe maġhrūr ho lekin
mujh ko mire ḳhāliq pe bharosa bhī bahut hai
us kī to kisī se bhī tabī.at nahīñ miltī
vo bhiiḌ meñ rahtā huā tanhā bhī bahut hai
kartā hai mire sāmne vo merī ḳhushāmad
dar-parda mire naam se jaltā bhī bahut hai
ik umr guzārī thī baḌī shaan se jis ne
'kausar' vo mire shahr meñ rusvā bhī bahut hai
us kucha-e-dildar ka charcha bhi bahut hai
luTne ka usi rah mein KHatra bhi bahut hai
mana ki safar mein to kaDi dhup hai lekin
sar par mere man bap ka saya bhi bahut hai
is daur-e-junun-KHez mein har chiz hai arzan
is daur ke bazar mein dhoka bhi bahut hai
tum zahiri asbab pe maghrur ho lekin
mujh ko mere KHaliq pe bharosa bhi bahut hai
us ki to kisi se bhi tabiat nahin milti
wo bhiD mein rahta hua tanha bhi bahut hai
karta hai mere samne wo meri KHushamad
dar-parda mere nam se jalta bhi bahut hai
ek umr guzari thi baDi shan se jis ne
'kausar' wo mere shahr mein ruswa bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.