us maqtal-e-hasti se guzar jaenge hum bhi
us maqtal-e-hastī se guzar jā.eñge ham bhī
duniyā yahī duniyā hai to mar jā.eñge ham bhī
ham se bhī ulajhte haiñ ba-har-gām ye saa.e
shāyad ye samajhte haiñ ki Dar jā.eñge ham bhī
jaise bhī haiñ insān haiñ ai bād-e-muḳhālif
tinke to nahīñ haiñ ki bikhar jā.eñge ham bhī
ye tundī-o-tezī hai to lahroñ ke sahāre
kashtī na sahī paar utar jā.eñge ham bhī
taufīq-e-ġham-e-ishq bhī sab ko nahīñ miltī
ḳhush haiñ ki ye ik kaam to kar jā.eñge ham bhī
vo ḳhūn-e-tamannā sahī har naqsh-e-vafā meñ
ik rang-e-dil-āvez to bhar jā.eñge ham bhī
ye ishq kī fitrat meñ vadī.at hai azal se
ik naqsh-e-hasīñ ban ke ubhar jā.eñge ham bhī
sar-garm-e-safar vo bhī hai aur ham bhī musalsal
Thahrā jo zamāna to Thahar jā.eñge ham bhī
har taaza taġhayyur se ye kah do ki bil-āḳhir
har marhala-e-nau se guzar jā.eñge ham bhī
ye jazb-e-mohabbat hai to phir sher hai kyā shai
nashtar kī tarah dil meñ utar jā.eñge ham bhī
dekhā hai kuchh is tarah tirā husn-e-jahāñ-tāb
sochā hai ki tā-hadd-e-nazar jā.eñge ham bhī
ik aur bhī duniyā hai jo is se bhī hasīñ hai
kho jā.eñge jalvoñ meñ agar jā.eñge ham bhī
guzre the kabhī sarmad-o-mansūr jidhar se
us raah se be-ḳhauf-o-ḳhatar jā.eñge ham bhī
sauġhāt-e-mohabbat haiñ ye kuchh zaḳhm kuchh aañsū
le kar yahī kuchh la.al-o-gohar jā.eñge ham bhī
har-chand ki hai duur bhī dushvār bhī manzil
āsār ye kahte haiñ magar jā.eñge ham bhī
ye zauq-e-safar shauq-e-safar hai to yaqīnan
'rāhī' na sahī zād-e-safar jā.eñge ham bhī
us maqtal-e-hasti se guzar jaenge hum bhi
duniya yahi duniya hai to mar jaenge hum bhi
hum se bhi ulajhte hain ba-har-gam ye sae
shayad ye samajhte hain ki Dar jaenge hum bhi
jaise bhi hain insan hain ai baad-e-muKHalif
tinke to nahin hain ki bikhar jaenge hum bhi
ye tundi-o-tezi hai to lahron ke sahaare
kashti na sahi par utar jaenge hum bhi
taufiq-e-gham-e-ishq bhi sab ko nahin milti
KHush hain ki ye ek kaam to kar jaenge hum bhi
wo KHun-e-tamanna sahi har naqsh-e-wafa mein
ek rang-e-dil-awez to bhar jaenge hum bhi
ye ishq ki fitrat mein wadiat hai azal se
ek naqsh-e-hasin ban ke ubhar jaenge hum bhi
sar-garm-e-safar wo bhi hai aur hum bhi musalsal
Thahra jo zamana to Thahar jaenge hum bhi
har taza taghayyur se ye kah do ki bil-aKHir
har marhala-e-nau se guzar jaenge hum bhi
ye jazb-e-mohabbat hai to phir sher hai kya shai
nashtar ki tarah dil mein utar jaenge hum bhi
dekha hai kuchh is tarah tera husn-e-jahan-tab
socha hai ki ta-hadd-e-nazar jaenge hum bhi
ek aur bhi duniya hai jo is se bhi hasin hai
kho jaenge jalwon mein agar jaenge hum bhi
guzre the kabhi sarmad-o-mansur jidhar se
us rah se be-KHauf-o-KHatar jaenge hum bhi
saughat-e-mohabbat hain ye kuchh zaKHm kuchh aansu
le kar yahi kuchh lal-o-gohar jaenge hum bhi
har-chand ki hai dur bhi dushwar bhi manzil
aasar ye kahte hain magar jaenge hum bhi
ye zauq-e-safar shauq-e-safar hai to yaqinan
'rahi' na sahi zad-e-safar jaenge hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.