us mulaqat ki wo ghaDi yaad hai
us mulāqāt kī vo ghaḌī yaad hai
tujh pe pahlī nazar jo paḌī yaad hai
is taraf maiñ thī aur us taraf tū khaḌā
pīchhe paTrī pe gaaḌī khaḌī yaad hai
tujh se milnā thā jis din mujhe jān-e-jāñ
dhuup us din bahut thī kaḌī yaad hai
ek cafe kī kursī pe baiThī thī maiñ
mez par ek botal paḌī yaad hai
tū ne uñglī kī poroñ se chūmī kamar
jis pe merī thī rangat uḌī yaad hai
tez-raftār sāñseñ thiiñ tham sī ga.iiñ
lab se lab kī milī pankhuḌī yaad hai
us mulaqat ki wo ghaDi yaad hai
tujh pe pahli nazar jo paDi yaad hai
is taraf main thi aur us taraf tu khaDa
pichhe paTri pe gaDi khaDi yaad hai
tujh se milna tha jis din mujhe jaan-e-jaan
dhup us din bahut thi kaDi yaad hai
ek cafe ki kursi pe baiThi thi main
mez par ek botal paDi yaad hai
tu ne ungli ki poron se chumi kamar
jis pe meri thi rangat uDi yaad hai
tez-raftar sansen thin tham si gain
lab se lab ki mili pankhuDi yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.