us musafir ke hare lafz asar-dar hue
us musāfir ke hare lafz asar-dār hue
mere murjhā.e hue peḌ samar-bār hue
maiñ samajhtā thā bichhaḌ jaanā had-e-āḳhir hai
phir tirī yaad ke aaseb numūdār hue
dost dastak to kivāḌoñ pe sunī jaatī haiñ
aur hameñ ek sadī ho ga.ī dīvār hue
varna ham meñ bhī ḳharābī kī koī baat na thī
ik magar terī tamanna ke gunahgār hue
mausam-e-'ishq bhī aayā thā zamīn-e-dil par
par vahī baat ke badlāo lagātār hue
ham ne firqoñ kī salīboñ pe chaḌhā.e qur.ān
aur ḳhudā chhoḌ ke bandoñ ke taraf-dār hue
us musafir ke hare lafz asar-dar hue
mere murjhae hue peD samar-bar hue
main samajhta tha bichhaD jaana had-e-aKHir hai
phir teri yaad ke aaseb numudar hue
dost dastak to kiwaDon pe suni jati hain
aur hamein ek sadi ho gai diwar hue
warna hum mein bhi KHarabi ki koi baat na thi
ek magar teri tamanna ke gunahgar hue
mausam-e-'ishq bhi aaya tha zamin-e-dil par
par wahi baat ke badlao lagatar hue
hum ne firqon ki salibon pe chaDhae quran
aur KHuda chhoD ke bandon ke taraf-dar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.