usne aabaad kiya shahr-e-wafa dil ki tarah
us ne ābād kiyā shahr-e-vafā dil kī tarah
aa.ī girte hue ik ghar se sadā dil kī tarah
ḳhuun chhuptā sā chalā jaatā hai aflāk-tā-ḳhāk
ḳhārzāroñ se guzartī hai sabā dil kī tarah
kis tarah geñd chalī jaatī hai ghar se bāhar
khilkhilāte hue bachchoñ ne kahā dil kī tarah
aql kī tarheñ khuleñgī to ḳhabar aa.egī
ham paḌe hoñge kisī aur jagah dil kī tarah
pichhle mausam meñ ka.ī saath the rone vaale
ab to har shor hī ḳhāmosh huā dil kī tarah
kuchh nayā rang na.ī tarz-e-suḳhan laao 'kumār'
rote phirte ho ye kyā dil kī tarah dil kī tarah
us ne aabaad kiya shahr-e-wafa dil ki tarah
aai girte hue ek ghar se sada dil ki tarah
KHun chhupta sa chala jata hai aflak-ta-KHak
KHarzaron se guzarti hai saba dil ki tarah
kis tarah gend chali jati hai ghar se bahar
khilkhilate hue bachchon ne kaha dil ki tarah
aql ki tarhen khulengi to KHabar aaegi
hum paDe honge kisi aur jagah dil ki tarah
pichhle mausam mein kai sath the rone wale
ab to har shor hi KHamosh hua dil ki tarah
kuchh naya rang nai tarz-e-suKHan lao 'kumar'
rote phirte ho ye kya dil ki tarah dil ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.