usne afshan jo chuni raat ko tanha ho kar
us ne afshāñ jo chunī raat ko tanhā ho kar
āsmāñ TuuT paḌā mujh pe sitāra ho kar
bhaukeñ mahloñ pe na mun.im sag-e-duniyā ho kar
haDDiyāñ qabr meñ rah jā.eñgī chūnā ho kar
vo jale tan hoñ mire par bhī jo miTTī meñ milūñ
gard-bād uThne lagīñ āg-bagūlā ho kar
mai-kashī meñ jo huā chashm-e-ḳhumārī kā ḳhayāl
rah gayā jaam hathelī kā phapholā ho kar
'shād' ye ishq-e-zanaḳhdāñ meñ hai dil Dālūñ Dol
kuud paḌtā huuñ maiñ har chaah meñ andhā ho kar
us ne afshan jo chuni raat ko tanha ho kar
aasman TuT paDa mujh pe sitara ho kar
bhauken mahlon pe na munim sag-e-duniya ho kar
haDDiyan qabr mein rah jaengi chuna ho kar
wo jale tan hon mere par bhi jo miTTi mein milun
gard-baad uThne lagin aag-bagula ho kar
mai-kashi mein jo hua chashm-e-KHumari ka KHayal
rah gaya jam hatheli ka phaphola ho kar
'shad' ye ishq-e-zanaKHdan mein hai dil Dalun Dol
kud paDta hun main har chah mein andha ho kar
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 106)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.