usne dekha idhar ziyaada der
us ne dekhā idhar ziyāda der
kyoñ na rahtā asar ziyāda der
saarī duniyā thī gosh-bar-āvāz
kaise chhuptī ḳhabar ziyāda der
dil pe detā rahā koī dastak
ham ne kar dī magar ziyāda der
sirf iḳhlās ho to chaltā hai
dostī kā safar ziyāda der
jism be-jān ho to phir kaise
saath deñ bāl-o-par ziyāda der
us ke chehre kī tābnākī par
kaise ruktī nazar ziyāda der
us ne dekha idhar ziyaada der
kyon na rahta asar ziyaada der
sari duniya thi gosh-bar-awaz
kaise chhupti KHabar ziyaada der
dil pe deta raha koi dastak
hum ne kar di magar ziyaada der
sirf iKHlas ho to chalta hai
dosti ka safar ziyaada der
jism be-jaan ho to phir kaise
sath den baal-o-par ziyaada der
us ke chehre ki tabnaki par
kaise rukti nazar ziyaada der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.