usne hamari jaanib dekha to kam banenge
us ne hamārī jānib dekhā to kam baneñge
par yuuñ nahīñ huā to lākhoñ hī ġham baneñge
din raat maiñ usī meñ rahtā huuñ mubtalā kab
chaukhaT pe mere ghar kī us ke qadam baneñge
us kī chhuvan ko yāroñ ye mo.ajiza atā hai
rakh de jahāñ bhī paañv bāġh-e-iram baneñge
us jaise ham kahīñ se thoḌā bhī ban sake to
ye likh ke de rahe haiñ us kī qasam baneñge
us ne hamari jaanib dekha to kam banenge
par yun nahin hua to lakhon hi gham banenge
din raat main usi mein rahta hun mubtala kab
chaukhaT pe mere ghar ki us ke qadam banenge
us ki chhuwan ko yaron ye moajiza ata hai
rakh de jahan bhi panw bagh-e-iram banenge
us jaise hum kahin se thoDa bhi ban sake to
ye likh ke de rahe hain us ki qasam banenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.