usne jab bhi kabhi mohabbat ki
us ne jab bhī kabhī mohabbat kī
jaise mujh pe koī 'ināyat kī
duub jaate haiñ ahl-e-dil is meñ
maiñ vahī jhiil huuñ mohabbat kī
phir mire rū-barū vo aaya hai
phir ḳhabar ho ga.ī qayāmat kī
hoñT par hoñT rakh diye maiñ ne
kyā zarūrat hai ab ijāzat kī
jab terā lams ho gayā hāsil
kis ko parvāh koī jannat kī
aise manzil nahīñ milī mujh ko
maiñ ne paane ko ḳhuub mehnat kī
ġham-zadoñ ne sajā.ī thī mahfil
aur maiñ ne vahāñ nizāmat kī
us ne jab bhi kabhi mohabbat ki
jaise mujh pe koi 'inayat ki
dub jate hain ahl-e-dil is mein
main wahi jhil hun mohabbat ki
phir mere ru-baru wo aaya hai
phir KHabar ho gai qayamat ki
honT par honT rakh diye main ne
kya zarurat hai ab ijazat ki
jab tera lams ho gaya hasil
kis ko parwah koi jannat ki
aise manzil nahin mili mujh ko
main ne pane ko KHub mehnat ki
gham-zadon ne sajai thi mahfil
aur main ne wahan nizamat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.