usne jab tark-e-mohabbat ki wazahat nahin di
us ne jab tark-e-mohabbat kī vazāhat nahīñ dī
ham ne bhī pūchh ke us shaḳhs ko zahmat nahīñ dī
aañkh sahtī rahī ik dard ke manzar kī chubhan
dil vo sābir thā ki rone kī ijāzat nahīñ dī
muntazir dar pe na thā koī to phir ham ne bhī
band darvāze ko dastak kī aziyyat nahīñ dī
ye tahī-dastī milī ishq meñ mehnat ke evaz
us mahājan ne bhī mazdūr ko ujrat nahīñ dī
raat to kaT ga.ī ik dard ke hangāmoñ meñ
shikva ye hai ki hameñ sub.h ne rāhat nahīñ dī
sar pe rakkhā gayā ik bār-e-mashaqqat ik umr
itnī āsānī se qadmoñ tale jannat nahīñ dī
us ne jab tark-e-mohabbat ki wazahat nahin di
hum ne bhi puchh ke us shaKHs ko zahmat nahin di
aankh sahti rahi ek dard ke manzar ki chubhan
dil wo sabir tha ki rone ki ijazat nahin di
muntazir dar pe na tha koi to phir hum ne bhi
band darwaze ko dastak ki aziyyat nahin di
ye tahi-dasti mili ishq mein mehnat ke ewaz
us mahajan ne bhi mazdur ko ujrat nahin di
raat to kaT gai ek dard ke hangamon mein
shikwa ye hai ki hamein subh ne rahat nahin di
sar pe rakkha gaya ek bar-e-mashaqqat ek umr
itni aasani se qadmon tale jannat nahin di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.