usne jina sikha diya mujhko
us ne jiinā sikhā diyā mujh ko
yā Thikāne lagā diyā mujh ko
yuuñ chalā zor 'aql kā us par
ek pal meñ bhulā diyā mujh ko
maiñ ne jiine kā ḳhvāb kyā dekhā
zindagī ne sulā diyā mujh ko
kyoñ basāyā thā apne dil meñ mujhe
kyoñ nazar se girā diyā mujh ko
ik zarā hosh hī sañbhālā thā
hostel meñ basā diyā mujh ko
phir zarā aañkh hī laḌā.ī thī
campus se uThā diyā mujh ko
merī ik she'r kī thī farmā.ish
saarā dīvāñ sunā diyā mujh ko
us ne jina sikha diya mujh ko
ya Thikane laga diya mujh ko
yun chala zor 'aql ka us par
ek pal mein bhula diya mujh ko
main ne jine ka KHwab kya dekha
zindagi ne sula diya mujh ko
kyon basaya tha apne dil mein mujhe
kyon nazar se gira diya mujh ko
ek zara hosh hi sanbhaala tha
hostel mein basa diya mujh ko
phir zara aankh hi laDai thi
campus se uTha diya mujh ko
meri ek she'r ki thi farmaish
sara diwan suna diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.