usne jo ishq-wishq ke hijje alag nahin kiye
us ne jo ishq-vishq ke hijje alag nahīñ kiye
ham ne bhī dard sah liye sadme alag nahīñ kiye
mere aur us ke darmiyāñ rishta vabāl-e-jān thā
dil ko sirhāne rakh diyā kamre alag nahīñ kiye
us ne kisī kī chaah meñ chaah ko merī Das liyā
sochā to maiñ ne bārhā raste alag nahīñ kiye
ghar ke har ik maqām par sahmī khaḌī thiiñ ulfateñ
kamroñ se us kī yaad ke jaale alag nahīñ kiye
donoñ ham ik class ke laḌte the zor-o-shor se
rūThnā aur baat thī baste alag nahīñ kiye
dil se use lagā liyā aisā sukūñ milā ki bas
rotī rahī maiñ der tak kāñdhe alag nahīñ kiye
beToñ ne ruḳh badal liyā chhoḌ ke us ko chal diye
baap ne jism haar ke rishte alag nahīñ kiye
lahjoñ kī saarī barhamī siitī rahī tamām umr
maiñ ne kitāb-e-zīst se baḳhiye alag nahīñ kiye
us ne jo ishq-wishq ke hijje alag nahin kiye
hum ne bhi dard sah liye sadme alag nahin kiye
mere aur us ke darmiyan rishta wabaal-e-jaan tha
dil ko sirhane rakh diya kamre alag nahin kiye
us ne kisi ki chah mein chah ko meri Das liya
socha to main ne barha raste alag nahin kiye
ghar ke har ek maqam par sahmi khaDi thin ulfaten
kamron se us ki yaad ke jale alag nahin kiye
donon hum ek class ke laDte the zor-o-shor se
ruThna aur baat thi baste alag nahin kiye
dil se use laga liya aisa sukun mila ki bas
roti rahi main der tak kandhe alag nahin kiye
beTon ne ruKH badal liya chhoD ke us ko chal diye
bap ne jism haar ke rishte alag nahin kiye
lahjon ki sari barhami siti rahi tamam umr
main ne kitab-e-zist se baKHiye alag nahin kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.