usne kabhi kuchh socha hoga
us ne kabhī kuchh sochā hogā
maiñ ne bhī kuchh samjhā hogā
apnā dard sunāne ko vo
chhup ke chāñd ko miltā hogā
us kī aañkh meñ aañsū hoñge
merā ḳhat jab paḌhtā hogā
maiñ ye soch ke chal paḌtā huuñ
raste meñ vo baiThā hogā
us kī yaad kā har pal 'ahmad'
mere uupar saayā hogā
us ne kabhi kuchh socha hoga
main ne bhi kuchh samjha hoga
apna dard sunane ko wo
chhup ke chand ko milta hoga
us ki aankh mein aansu honge
mera KHat jab paDhta hoga
main ye soch ke chal paDta hun
raste mein wo baiTha hoga
us ki yaad ka har pal 'ahmad'
mere upar saya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.