Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne kaha kaba tera maine kaha chehra tera

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

usne kaha kaba tera maine kaha chehra tera

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

    us ne kahā ka.aba tirā maiñ ne kahā chehrā tirā

    us ne kahā chehrā tirā maiñ ne kahā jalvā tirā

    us ne kahā jiinā tirā maiñ ne kahā hastī tirī

    us ne kahā marnā tirā maiñ ne kahā pardā tirā

    us ne kahā kyā kaam hai maiñ ne kahā har vaqt diid

    us ne kahā kyā shaġhl hai maiñ ne kahā saudā tirā

    us ne kahā kyā kufr hai maiñ ne kahā gesū tire

    us ne kahā islām kyā maiñ ne kahā chehrā tirā

    us ne kahā dil kyā huā maiñ ne kahā ne liyā

    us ne kahā kyā chor huuñ maiñ ne kahā ġhamza tirā

    us ne kahā mandir hai kyā maiñ ne kahā to hai

    us ne kahā qismat tirī maiñ ne kahā manshā tirā

    us ne kahā ḳhidmat tirī maiñ ne kahā hai bandagī

    us ne kahā hai naam kyā maiñ ne kahā bandā tirā

    us ne kahā vo kaun thā ḳhalvat meñ ḳhvāhān-e-visāl

    maiñ ne kahā ye 'shād' thā āshiq tirā shaidā tirā

    us ne kaha kaba tera main ne kaha chehra tera

    us ne kaha chehra tera main ne kaha jalwa tera

    us ne kaha jina tera main ne kaha hasti teri

    us ne kaha marna tera main ne kaha parda tera

    us ne kaha kya kaam hai main ne kaha har waqt did

    us ne kaha kya shaghl hai main ne kaha sauda tera

    us ne kaha kya kufr hai main ne kaha gesu tere

    us ne kaha islam kya main ne kaha chehra tera

    us ne kaha dil kya hua main ne kaha tu ne liya

    us ne kaha kya chor hun main ne kaha ghamza tera

    us ne kaha mandir hai kya main ne kaha tu hi to hai

    us ne kaha qismat teri main ne kaha mansha tera

    us ne kaha KHidmat teri main ne kaha hai bandagi

    us ne kaha hai nam kya main ne kaha banda tera

    us ne kaha wo kaun tha KHalwat mein KHwahan-e-visal

    main ne kaha ye 'shad' tha aashiq tera shaida tera

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now