usne kaha tha ek shab tumne mujhe badal diya
us ne kahā thā ek shab tum ne mujhe badal diyā
kaise kahūñ maiñ us se ab tum ne mujhe badal diyā
jaadū asar har ik adā chehra hai yā ki mo.ajiza
dikhlā ke ik hasīn chhab tum ne mujhe badal diyā
dekho mirī sharārteñ shoḳhī bharī ibārateñ
chanchal thā is qadar maiñ kab tum ne mujhe badal diyā
sargoshiyoñ kā maiñ hadaf hairāniyāñ haiñ har taraf
shashdar hai aa.ina ajab tum ne mujhe badal diyā
dil meñ hai yuuñ umañg kyoñ nikhrā huā hai rañg kyoñ
ab pūchhte ho kyā sabab tum ne mujhe badal diyā
ik harf-e-intizār huuñ har aan be-qarār huuñ
'rāġhib' nahīñ rahā maiñ ab tum ne mujhe badal diyā
us ne kaha tha ek shab tum ne mujhe badal diya
kaise kahun main us se ab tum ne mujhe badal diya
jadu asar har ek ada chehra hai ya ki moajiza
dikhla ke ek hasin chhab tum ne mujhe badal diya
dekho meri shararten shoKHi bhari ibaraten
chanchal tha is qadar main kab tum ne mujhe badal diya
sargoshiyon ka main hadaf hairaniyan hain har taraf
shashdar hai aaina ajab tum ne mujhe badal diya
dil mein hai yun umang kyon nikhra hua hai rang kyon
ab puchhte ho kya sabab tum ne mujhe badal diya
ek harf-e-intizar hun har aan be-qarar hun
'raghib' nahin raha main ab tum ne mujhe badal diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.