usne ruKH pe zulfon ko is tarah bikhera hai
us ne ruḳh pe zulfoñ ko is tarah bikherā hai
ik taraf ujālā hai ik taraf añdherā hai
husn ne taḳhayyul par nuur kyā bikherā hai
'ishq kī nigāhoñ meñ duur tak saverā hai
zid na kījiye ham se ham ko saath le liije
yaañ ke log vahshī haiñ shahr ye luTerā hai
kal jo mujh se barham the sochtā huuñ jaane kyoñ
aaj un ke hoñToñ par naam sirf merā hai
gesuoñ se rakhnā hai rabt husn vāloñ ke
nāginoñ se khele hai 'ishq bhī saperā hai
sāġharoñ kī gardish ko aur tez kar Daalo
mujh ko is zamāne kī gardishoñ ne gherā hai
jis jagah ki luTte haiñ qāfile mohabbat ke
ai 'nazar' suno apnā us jagah baserā hai
us ne ruKH pe zulfon ko is tarah bikhera hai
ek taraf ujala hai ek taraf andhera hai
husn ne taKHayyul par nur kya bikhera hai
'ishq ki nigahon mein dur tak sawera hai
zid na kijiye hum se hum ko sath le lije
yan ke log wahshi hain shahr ye luTera hai
kal jo mujh se barham the sochta hun jaane kyon
aaj un ke honTon par nam sirf mera hai
gesuon se rakhna hai rabt husn walon ke
naginon se khele hai 'ishq bhi sapera hai
sagharon ki gardish ko aur tez kar Dalo
mujh ko is zamane ki gardishon ne ghera hai
jis jagah ki luTte hain qafile mohabbat ke
ai 'nazar' suno apna us jagah basera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.