usne socha bhi nahin tha kabhi aisa hoga
us ne sochā bhī nahīñ thā kabhī aisā hogā
dil hī isrār karegā ki bichhaḌnā hogā
kashtiyāñ ret pe baiThī haiñ umīdeñ bāñdhe
aisā lagtā hai ye sahrā kabhī dariyā hogā
ik udāsī mirī dahlīz pe baiThī hogī
ek jugnū mire kamre meñ bhaTaktā hogā
tum ne vo zaḳhm diyā hai mirī tanhā.ī ko
jo na āsūda-e-ġham hogā na achchhā hogā
chāñd jis raat na niklā to gumāñ guzrā hai
vo yaqīnan tire āñgan meñ chamaktā hogā
apnā sar kaaT ke neze pe uThā.e rakkhā
sirf ye zid ki mirā sar hai to ūñchā hogā
us ne socha bhi nahin tha kabhi aisa hoga
dil hi israr karega ki bichhaDna hoga
kashtiyan ret pe baiThi hain umiden bandhe
aisa lagta hai ye sahra kabhi dariya hoga
ek udasi meri dahliz pe baiThi hogi
ek jugnu mere kamre mein bhaTakta hoga
tum ne wo zaKHm diya hai meri tanhai ko
jo na aasuda-e-gham hoga na achchha hoga
chand jis raat na nikla to guman guzra hai
wo yaqinan tere aangan mein chamakta hoga
apna sar kaT ke neze pe uThae rakkha
sirf ye zid ki mera sar hai to uncha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.