usne socha hi nahin tha kabhi aisa hoga
us ne sochā hī nahīñ thā kabhī aisā hogā
vaqt kā us ke bhī muñh par ye tamācha hogā
tum jo har baat pe kahte ho hamārī marzī
ham bhī marzī pe utar aa.eñ to kaisā hogā
aap ā.eñge mire zaḳhmoñ kī pursish ke liye
ye bhī ummīd nahīñ aap se aisā hogā
tum jo bohtān lagāne pe tule ho to suno
ham bhī ḳhāmosh na baiTheñge tamāsha hogā
kis ke kahne pe kiyā tark-e-ta'alluq tum ne
ham bhī dekheñge yahāñ kaun tumhārā hogā
gardish-e-daurāñ ham is aas pe jiite haiñ yahāñ
āsmāñ par kabhī apnā bhī sitārā hogā
'ain mumkin thā ki ham 'ishq meñ rakhte na qadam
kyā ḳhabar thī kī 'asar' itnā ḳhasārā hogā
us ne socha hi nahin tha kabhi aisa hoga
waqt ka us ke bhi munh par ye tamacha hoga
tum jo har baat pe kahte ho hamari marzi
hum bhi marzi pe utar aaen to kaisa hoga
aap aaenge mere zaKHmon ki pursish ke liye
ye bhi ummid nahin aap se aisa hoga
tum jo bohtan lagane pe tule ho to suno
hum bhi KHamosh na baiThenge tamasha hoga
kis ke kahne pe kiya tark-e-ta'alluq tum ne
hum bhi dekhenge yahan kaun tumhaara hoga
gardish-e-dauran hum is aas pe jite hain yahan
aasman par kabhi apna bhi sitara hoga
'ain mumkin tha ki hum 'ishq mein rakhte na qadam
kya KHabar thi ki 'asar' itna KHasara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.