Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne wo jal bichhae hain ki ji jaanta hai

Khurshid Khawar Amrohvi

usne wo jal bichhae hain ki ji jaanta hai

Khurshid Khawar Amrohvi

MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi

    us ne vo jaal bichhā.e haiñ ki jāntā hai

    sabz baaġh aise dikhā.e haiñ ki jāntā hai

    naaz vo ham ne uThā.e haiñ ki jāntā hai

    kaam vo karke dikhā.e haiñ ki jāntā hai

    dekhne vāloñ ko phande meñ phañsāne ke liye

    aise bal zulf ne khaa.e haiñ ki jāntā hai

    mere hote hue aġhyār pe ye lutf-o-karam

    us ne vo tiir chalā.e haiñ ki jāntā hai

    husn us ke ho tārīf kahāñ tak mujh se

    us ne ausāf vo paa.e haiñ ki jāntā hai

    yuuñ to aane ko vo mahfil meñ ka.ī baar aa.e

    aaj is shaan se aa.e haiñ ki jāntā hai

    us se milne ke liye kyā kyā jatan ham ne kiye

    vo vo ehsān uThā.e haiñ ki jāntā hai

    Tālne ke liye us shoḳh ne kyā kyā na kiyā

    rāste itne batā.e haiñ ki jāntā hai

    daaġh ke rang meñ 'ḳhāvar' ne ġhazal ḳhuub kahī

    vo vo ash.ār sunā.e haiñ ki jāntā hai

    us ne wo jal bichhae hain ki ji jaanta hai

    sabz bagh aise dikhae hain ki ji jaanta hai

    naz wo hum ne uThae hain ki ji jaanta hai

    kaam wo karke dikhae hain ki ji jaanta hai

    dekhne walon ko phande mein phansane ke liye

    aise bal zulf ne khae hain ki ji jaanta hai

    mere hote hue aghyar pe ye lutf-o-karam

    us ne wo tir chalae hain ki ji jaanta hai

    husn ki us ke ho tarif kahan tak mujh se

    us ne ausaf wo pae hain ki ji jaanta hai

    yun to aane ko wo mahfil mein kai bar aae

    aaj is shan se aae hain ki ji jaanta hai

    us se milne ke liye kya kya jatan hum ne kiye

    wo wo ehsan uThae hain ki ji jaanta hai

    Talne ke liye us shoKH ne kya kya na kiya

    raste itne batae hain ki ji jaanta hai

    dagh ke rang mein 'KHawar' ne ghazal KHub kahi

    wo wo ashaar sunae hain ki ji jaanta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now