us par gir paDe hain kuchh is par gir paDe
us paar gir paḌe haiñ kuchh is paar gir paḌe
ahl-e-junūñ sañbhal ga.e hushiyār gir paḌe
pahchān jin ke fan kī judāgāna thī vahī
hirs-o-havas kī aag meñ fankār gir paḌe
tahzīb kī qabā meñ siyah-kārī aam hai
jiddat kī zad meñ ilm ke me.aar gir paḌe
maġhrib ne aisā jaal bichhāyā hai chār-sū
dānista merī qaum ke me.amār gir paḌe
sastī numā.ish aisī mubārak tumhīñ ko ho
jis meñ hayā kī saarī hī dīvār gir paḌe
iḳhlās ke sipāhī to 'nādir' hī rah ga.e
ḳhum-ḳhāna-e-numūd meñ sab yaar gir paḌe
us par gir paDe hain kuchh is par gir paDe
ahl-e-junun sanbhal gae hushiyar gir paDe
pahchan jin ke fan ki judagana thi wahi
hirs-o-hawas ki aag mein fankar gir paDe
tahzib ki qaba mein siyah-kari aam hai
jiddat ki zad mein ilm ke mear gir paDe
maghrib ne aisa jal bichhaya hai chaar-su
danista meri qaum ke meamar gir paDe
sasti numaish aisi mubarak tumhin ko ho
jis mein haya ki sari hi diwar gir paDe
iKHlas ke sipahi to 'nadir' hi rah gae
KHum-KHana-e-numud mein sab yar gir paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.