us se aankh milai hai
us se aañkh milā.ī hai
jis ke dil meñ khaa.ī hai
aaj maiñ ḳhush is baat se huuñ
vo mujh se sharmā.ī hai
chain se vo bhī baiThā kab
jis ne aag lagā.ī hai
merī ġhazal sunñe ke baad
kyā us ko niiñd aa.ī hai
shāyad us ne yaad kiyā
mujh ko hichkī aa.ī hai
un se aañkh milā.e vo
jis kī shāmat aa.ī hai
us se aankh milai hai
jis ke dil mein khai hai
aaj main KHush is baat se hun
wo mujh se sharmai hai
chain se wo bhi baiTha kab
jis ne aag lagai hai
meri ghazal sunne ke baad
kya us ko nind aai hai
shayad us ne yaad kiya
mujh ko hichki aai hai
un se aankh milae wo
jis ki shamat aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.