us se alag ho aisi meri zat hi nahin
us se alag ho aisī mirī zaat hī nahīñ
merā nahīñ hai vo to koī baat hī nahīñ
auroñ se mil ke bachtā hai kuchh vaqt hī kahāñ
hotī hai ḳhud se merī mulāqāt hī nahīñ
jumbish hai tan-badan meñ dhaḌaktā nahīñ hai dil
yuuñ ho ga.e mashīnī ki jazbāt hī nahīñ
mā'dūd-e-chand haiñ ye magar qad alag alag
apnī to uñgliyoñ meñ musāvāt hī nahīñ
aisī jagah bhī hai ki jalāte nahīñ charāġh
jaise vahāñ pe aatī kabhī raat hī nahīñ
rahtī hai pyaas kab jo nazar se nazar mile
āñkhoñ se baḌh ke koī ḳharābāt hī nahīñ
ai 'badr' shā'irāna ta'allī hai ḳhuub shai
aisā ye dā'vā hai ki jise maat hī nahīñ
us se alag ho aisi meri zat hi nahin
mera nahin hai wo to koi baat hi nahin
auron se mil ke bachta hai kuchh waqt hi kahan
hoti hai KHud se meri mulaqat hi nahin
jumbish hai tan-badan mein dhaDakta nahin hai dil
yun ho gae mashini ki jazbaat hi nahin
ma'dud-e-chand hain ye magar qad alag alag
apni to ungliyon mein musawat hi nahin
aisi jagah bhi hai ki jalate nahin charagh
jaise wahan pe aati kabhi raat hi nahin
rahti hai pyas kab jo nazar se nazar mile
aankhon se baDh ke koi KHarabaat hi nahin
ai 'badr' sha'irana ta'alli hai KHub shai
aisa ye da'wa hai ki jise mat hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.