us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya
us se bichhaḌ ke bāb-e-hunar band kar diyā
ham jis meñ jī rahe the vo ghar band kar diyā
shāyad ḳhabar nahīñ hai ġhazālān-e-shahr ko
ab ham ne jañgaloñ kā safar band kar diyā
apne lahū ke shor se tañg aa chukā huñ maiñ
kis ne ise badan meñ nazar-band kar diyā
ab DhūñD aur qadr-shanāsān-e-rañg-o-bū
ham ne ye kaam ai gul-e-tar band kar diyā
ik ism-e-jāñ pe Daal ke ḳhāk-e-farāmushī
andhe sadaf meñ ham ne guhar band kar diyā
us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya
hum jis mein ji rahe the wo ghar band kar diya
shayad KHabar nahin hai ghazalan-e-shahr ko
ab hum ne jangalon ka safar band kar diya
apne lahu ke shor se tang aa chuka hun main
kis ne ise badan mein nazar-band kar diya
ab DhunD aur qadr-shanasan-e-rang-o-bu
hum ne ye kaam ai gul-e-tar band kar diya
ek ism-e-jaan pe Dal ke KHak-e-faramushi
andhe sadaf mein hum ne guhar band kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.