us se bichhDun bhi to itni to KHushi rahti hai
us se bichhḌūñ bhī to itnī to ḳhushī rahtī hai
phir mulāqāt kī ummīd banī rahtī hai
barsoñ in āñkhoñ meñ barsāt kā mausam Thahrā
ab bhī is kamre meñ thoḌī sī namī rahtī hai
dekh saktā hai unheñ kaun ki un āñkhoñ meñ
raushnī jaisī koī chiiz bharī rahtī hai
in daraḳhtoñ meñ koī phal to nahīñ aate haiñ
in daraḳhtoñ kī magar chhāñv ghanī rahtī hai
maiñ ne hī 'ishq kī afvāh uḌaa.ī hai huzūr
baat jo sāmne rahtī hai dabī rahtī hai
ab bhī is ghar meñ tire jaane kā ġham hai zinda
ab bhī ik kone meñ ik sham' bujhī rahtī hai
dil meñ ik peḌ lagā rakkhā hai maiñ ne jis meñ
terī ummīd kī ik shāḳh jhukī rahtī hai
ai mirī zindagī tū jitnī bhī bharpā.ī kare
sab ke hote hue ik us kī kamī rahtī hai
us se bichhDun bhi to itni to KHushi rahti hai
phir mulaqat ki ummid bani rahti hai
barson in aankhon mein barsat ka mausam Thahra
ab bhi is kamre mein thoDi si nami rahti hai
dekh sakta hai unhen kaun ki un aankhon mein
raushni jaisi koi chiz bhari rahti hai
in daraKHton mein koi phal to nahin aate hain
in daraKHton ki magar chhanw ghani rahti hai
main ne hi 'ishq ki afwah uDai hai huzur
baat jo samne rahti hai dabi rahti hai
ab bhi is ghar mein tere jaane ka gham hai zinda
ab bhi ek kone mein ek sham' bujhi rahti hai
dil mein ek peD laga rakkha hai main ne jis mein
teri ummid ki ek shaKH jhuki rahti hai
ai meri zindagi tu jitni bhi bharpai kare
sab ke hote hue ek us ki kami rahti hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 34)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.