us se daman ko chhuDana bhi nahin chahte hum
us se dāman ko chhuḌānā bhī nahīñ chāhte ham
is qadar ḳhud ko satānā bhī nahīñ chāhte ham
ham ne dil se use bāhar to nikālā hai magar
us ko vīrāna banānā bhī nahīñ chāhte ham
maiñ huuñ khanDar dar-o-dīvār bhī gir jā.eñge
us ko dul.han sā sajānā bhī nahīñ chāhte ham
ab to sūraj kī shuāoñ ne sameTā hai badan
us kī bāñhoñ meñ Thikāna bhī nahīñ chāhte ham
raat kī raanī maiñ bantī rahī us āñgan kī
ḳhud ko shartoñ pe miTānā bhī nahīñ chāhte ham
saarī had paar kī hai ham ne mohabbat kī magar
dasht meñ koī divāna bhī nahīñ chāhte ham
ranj-o-ġham ashkoñ ke shabnam hī 'shaġhaf' kaafī haiñ
misl-e-ḳhairāt ḳhazāna bhī nahīñ chāhte ham
us se daman ko chhuDana bhi nahin chahte hum
is qadar KHud ko satana bhi nahin chahte hum
hum ne dil se use bahar to nikala hai magar
us ko virana banana bhi nahin chahte hum
main hun khanDar dar-o-diwar bhi gir jaenge
us ko dulhan sa sajaana bhi nahin chahte hum
ab to suraj ki shuaon ne sameTa hai badan
us ki banhon mein Thikana bhi nahin chahte hum
raat ki rani main banti rahi us aangan ki
KHud ko sharton pe miTana bhi nahin chahte hum
sari had par ki hai hum ne mohabbat ki magar
dasht mein koi diwana bhi nahin chahte hum
ranj-o-gham ashkon ke shabnam hi 'shaghaf' kafi hain
misl-e-KHairaat KHazana bhi nahin chahte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.