us se gila karun ki use bhul jaun main
us se gila karūñ ki use bhuul jā.ūñ maiñ
vo vaqt aa paḌā hai ki sab kuchh gañvā.ūñ maiñ
kis ko dikhā.ūñ apnī shab-e-tār-tār ko
saaya bhī koī ho to use kuchh batā.ūñ maiñ
maġhrūr ho gayā hai mujhe mujh se chhīn kar
ai kaash us ko us se kabhī chhīn lā.ūñ maiñ
qisse sunā rahā hai mirī bevafā.ī ke
us kī tarah se ḳhud ko kabhī āzmā.ūñ maiñ
koī nishāñ mile na kisī mauj ko kabhī
gahre samundaroñ meñ kahīñ Duub jā.ūñ maiñ
ik baar mujh ko uTh ke gale se lagā bhī le
kis ko ḳhabar hai phir yahāñ aa.uuñ na aa.uuñ maiñ
mahv-e-tilism-e-shoḳhī-e-reg-e-ravāñ hai dil
ab baiTh ke kahāñ tirī sūrat banā.ūñ maiñ
hairān huuñ maiñ apnī qabā ko utaar kar
zaḳhmoñ ke is dayār meñ kis ko bulā.ūñ maiñ
maiñ ḳhaak ho chukā huuñ ḳhud apnī hī aag meñ
us ke lahu kī aag kahāñ se bujhā.ūñ maiñ
jī chāhtā hai ghūmūñ maiñ 'ajmal' ḳhalā-ḳhalā
apne badan ke paar kahīñ muskurā.ūñ maiñ
us se gila karun ki use bhul jaun main
wo waqt aa paDa hai ki sab kuchh ganwaun main
kis ko dikhaun apni shab-e-tar-tar ko
saya bhi koi ho to use kuchh bataun main
maghrur ho gaya hai mujhe mujh se chhin kar
ai kash us ko us se kabhi chhin laun main
qisse suna raha hai meri bewafai ke
us ki tarah se KHud ko kabhi aazmaun main
koi nishan mile na kisi mauj ko kabhi
gahre samundaron mein kahin Dub jaun main
ek bar mujh ko uTh ke gale se laga bhi le
kis ko KHabar hai phir yahan aaun na aaun main
mahw-e-tilism-e-shoKHi-e-reg-e-rawan hai dil
ab baiTh ke kahan teri surat banaun main
hairan hun main apni qaba ko utar kar
zaKHmon ke is dayar mein kis ko bulaun main
main KHak ho chuka hun KHud apni hi aag mein
us ke lahu ki aag kahan se bujhaun main
ji chahta hai ghumun main 'ajmal' KHala-KHala
apne badan ke par kahin muskuraun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.